ye jo sar niche kiye baithe hain jaan kitnon ki liye baithe hain - Sad Poetry in Urdu

Sad Poetry in Urdu

Friendship poetry in Urdu,sad Poetry in Urdu,poetry in Urdu Text, Urdu poetry,Hindi shayari,attitude poetry in Urdu,romantic poetry,Urdu sms,poetry.

Please click here and perform on the page If you from Usa 👇👇

Wednesday, August 11, 2021

ye jo sar niche kiye baithe hain jaan kitnon ki liye baithe hain


 


ye jo sar niche kiye baithe hain
jaan kitnon ki liye baithe hain

jaan hum sabza-e-khat par de kar
zahr ke ghont piye baithe hain

dil ko hum dhundte hain chaar taraf
aur yahan aap liye baithe hain

waizo chhedo na rindon ko bahut
ye samajh lo ki piye baithe hain

goshe aanchal ke tere sine par
hae kya chiz liye baithe hain

dast-e-wahshat ko khabar kar de koi
hum gareban siye baithe hain

hae puchho na tasawwur ke maze
god mein tum ko liye baithe hain

aap ke naz uthane wale
jaan ko sabr kiye baithe hain

bal jabin par hai khuda khair kare
aaj wo tegh liye baithe hain

is tawaqqo pe ki len wo talwar
sar hatheli pe liye baithe hain

jaan de denge tumhaare dar par
hum ab uthne ke liye baithe hain

zikr kya jam-o-subu ka ki 'jalil'
ek mai-khana piye baithe hain




یہ جو سر نیچے کئے بیٹھے ہیں

جان کتنوں کی لیے بیٹھے ہیں

جان ہم سبزۂ خط پر دے کر

زہر کے گھونٹ پیے بیٹھے ہیں

دل کو ہم ڈھونڈتے ہیں چار طرف

اور یہاں آپ لیے بیٹھے ہیں

واعظو چھیڑو نہ رندوں کو بہت

یہ سمجھ لو کہ پیے بیٹھے ہیں

گوشے آنچل کے ترے سینے پر

ہائے کیا چیز لیے بیٹھے ہیں

دست وحشت کو خبر کر دے کوئی

ہم گریبان سیئے بیٹھے ہیں

ہائے پوچھو نہ تصور کے مزے

گود میں تم کو لیے بیٹھے ہیں

آپ کے ناز اٹھانے والے

جان کو صبر کیے بیٹھے ہیں

بل جبیں پر ہے خدا خیر کرے

آج وہ تیغ لیے بیٹھے ہیں

اس توقع پہ کہ لیں وہ تلوار

سر ہتھیلی پہ لیے بیٹھے ہیں

جان دے دیں گے تمہارے در پر

ہم اب اٹھنے کے لئے بیٹھے ہیں

ذکر کیا جام و سبو کا کہ جلیلؔ

ایک مے خانہ پیے بیٹھے ہیں



No comments:

Post a Comment