bila javaz nahi hai ghurur ankhon mein
basa hua hai koi to zarur ankhon mein
tasalliyon ka charaghan shafiq honto par
mohabbaton ki anokhi sutur ankhon mein
vazu-e-deed judaii mein bhi mayassar hai
hain garche duur magar hain huzur ankhon mein
ki raat dudhiya chadar mein ḳhvab lipte the
tamam din tha raha us ka nur ankhon mein
ruke hue kisi sailab ki safarat ko
kiya hai ashk ne phir se zuhur ankhon mein
jiya hai dasht-e-dil-o-jaan had-e-muayyan mein
kiya hai aankh ka dariya ubuur ankhon mein
ḳhumar-e-dard meñ tahir-adim sab masrur
No comments:
Post a Comment