Bas Ke Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona -Mirza Galib (Gazal) - Sad Poetry in Urdu

Sad Poetry in Urdu

Friendship poetry in Urdu,sad Poetry in Urdu,poetry in Urdu Text, Urdu poetry,Hindi shayari,attitude poetry in Urdu,romantic poetry,Urdu sms,poetry.

Please click here and perform on the page If you from Usa 👇👇

Friday, September 20, 2019

Bas Ke Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona -Mirza Galib (Gazal)

Bas Ke Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
Aadmi Ko Bhi Mayassar Nahi Insaan Hona


Giryaa Chahe Hai Kharabi Mere Kashaane Ki
Dar-O-Deewar Se Tapke Hai Bayabaan Hona


Waye Deewangi-E-Shauq Ke Har Dum Mujh Ko
Aap Jana Udhar Aur Aap Hi Hairaan Hona


Ishrat-E-Qatal Ke Ahl-E-Tamanna Mat Pooch
Eid-E-Nazara Hai Shamsheer Ka Uriyaan Hona


Le Gaye Khaak Mai Hum Daag-E-Tamanna Aey Nishat
Tu Ho Aur Aap Ba’sad Rang-E-Gulistaan Hona


Ki Mere Qatal Ke Baad Us Ne Jafa Se Toba
Haye Is Zood Pashaiman Ka Pashaiman Hona


Haif Is Chaara’gar Kapre Ki Qismat Ghalib!
Jis Ki Qismat Mai Ho Aashiq Ka Girebaan Hona....

                                               -Mirza Galib

No comments:

Post a Comment