Yaad dilata hai december,
Kisi ke lehje ka sard ho jana..
Kaun Kehta hai waqt marta nahin,
hum ne saalon ko khatm hote dekha hai december mein …!
December ab k jao to mujhe bhi sath le jana
Mujhy bhi Sham hona hai mujhy bhi Gumnam hona hai…
In tez hawaaon mein kahan jaaoge mohsin?
raaton ko toh paagal bhi nikalte nahin ghar se …!
Raat chupke se december ne yeh sargoshi ki,
Phir se ik bar rulaa doon tujhe jatey jatey..
Thandi Hawayein Kya Chalein Mere Shehar Mein
Har Taraf Yaadon Ka December Bikhar Gya
December Me Kaha Tha Na K Wapis Laut Aogy
Abhi Tak Tum Nahi Lauty December Laut Aya Hai…
December Me Kaha Tha Na K Wapis Laut Aogy
Abhi Tak Tum Nahi Lauty December Laut Aya Hai…
Halki halki si ssard hawaa, zara sa dard-e-dil,
Andaaz acha hai december tere aaney ka..
December ke Kehar ko Dekh kar Dil chahta hai..
Ya ilaahi..! Aisi koi Dhund uski Yaad per bhi ho…
December Jab Bhi Lota Hai Mere Tareek Kamray Me
Mere Bistar Pe Rakhi Sab Kitabeen Bheeg Jati Hain…
I'm sure you don't mind if I have any mistake in this post. If you have any idea about my post then ask me in the comment section below. Thanks
No comments:
Post a Comment