kya kasoor
Najrein unhe dekhe,
To isme aankhon ka kya kasoor.
Har waqt khushboo unki aaye,
To isme saanson ka kya kasoor.
Sapne puchh kar nahi aate par sapne unke aaye,
To isme raaton ka kya kasoor.
Dil har pal unhe hi chahe,
To isme jism ka kya kasoor.
Uska ehsaas hi rahe charon or,
To isme Hawaaon ka kya kasoor.
Uski mohbbat me jalte hain hum,
To isme aag ka kya kasoor.
Har ladki me aksh uska dikhe,
To isme us ladki ka kya kasoor.
Mohbbat unse ho gayi hame,
To isme uska kya kasoor.
Nazar lage hamari mohbbat ko,
To isme zamane ka kya kasoor.
Tadpata hoon main uski yaad me,
To isme tanhayi ka kya kasoor.
Har kisi ki aankh ka nishana ban jata hoon,
To isme mahfil ka kya kasoor.
Uske bina kuchh nahi mere paas,
To isme zindagi ka kya kasoor.
Jee nahi pata ab maut na aaye,
To isme maut ka kya kasoor.
Log namak lagaye hamare zakhmon par,
To isme zakhmon ka kya kasoor.
Hamne to mohbbat ki mohbbat na mili,
To isme mera kya kasoor.
Mohbbat bin puchhe hoti hai mohbbat ho gayi,
To isme mera kya kasoor.
Wo hain itni haseen ussey hamse mohbbat na huyi,
To isme mera kya kasoor.
Next Hindi Poetry...>>
No comments:
Post a Comment